16/03/2026
Aaj barish ke baad main qabristan gaya taake dekh sakoon ke qabrein theek hain ya nahi. Barish ke baad kabhi kabhi qabron mein pani chala jata hai is liye dekhne gaya tha. Alhamdulillah sab theek lag raha tha. Allah Taala hamare tamam marhoomeen ki maghfirat farmaye