11/08/2026
Har guzrta din, paa paa k qareeb.
Har guzrta din hmy paa paa k qareeb ly k jaa raha hai.
Zindagi ek daura hai jo rukta nahi. Har subah jo hum uthtay hain, ek din kam reh jata hai us waqt tak jab hum sab kuch chorr k chalay jayen gay. Ye horn sirf ek khilona nahi, ye ek yaad dahani hai, waqt tez raftaar se guzar raha hai, aur hum aksar is haqeeqat ko bhool jatay hain.
Kaam, paisay, dunya ki daud-dhoop, sab kuch apni jaga hai, lekin asal cheez wahi hai jo hum apne saath le k jayen gay, humaray amaal, humari niyat, aur humara Allah se taβalluq.
Waqt zaya mat karo. Har din ek naya mauqa hai apne aap ko behtar banane ka, apne rishton ko sambhalne ka, aur apne Rab ke qareeb jaane ka.
Sabaq Pakistan